Karke mujhko wo diwana,
Deke mujhko woh afsana,
Tod ke mere dil ko woh,
Itna kyo tadpati hai,
Baat jab karta hun marne ki,
Toh kasme yaad dilate hai,
Mujhko bada satati hai,
Dil dhadka ke,
Aas bandha ke,
Jane kaha woh kho jati hai,
Ab uski hi tamanna hai,
Sang jeena ya marna hai,
Karke mujhko woh udas,
Badha ke adhuri si ye pyas,
Jane kaha woh kho jati hai,
Soch raha hun mein ab yaaron,
Ye jeena bhi koi jeena hai,
Gam ke giraft mein rehkar,
Kisko ashu pena hai,
Tod liya maine jag se naata,
Ab tere siwa koi na bhaata,
Mein bhi sabko kar udas,
Aa raha hun ae khuda tere paas…
-Dheeraj
0 comments:
Post a Comment