Woh chad ki baatein karti thi,
Ghanton Chand ko dekha karti thi,
Hum toh dhul hai dharti ke,
Kya chand ko dekhein dharti se,
Mastani Aankho mein,
Kabhi naa dekha tha ashu,
Aaj samandar hai unke,
Ankhon mein yaa Ashu,
Jee chahta hai tod dun,
Duniye ke saare nate,
Kuch gam mere bhi the,
Kuch unke bhi meine bantae,
Zakhmon ki wajah koi aur naa tha,
Jisne diya maksad Sahil,
Kya tod ke zamane ki rashmein,
Jeene mein koi muskil hai,
Hae tod diya tune dil aisa,
Ki ashu peena muskil hai,
Kal hi ki baat hai jaise,
Jab hum tum mila karte the,
Tab lagta tha Janmon ka Bandhan,
Jab baatein humse karte the,
Baaton mein unke Jaadu tha,
Woh jaadu bhi kya Jaadu tha,
Ghanton ka pata nahi,
Jab baatein hoti thi unse,
Ab Har lamha Jaise,
Kantein bankar chubhta hai,
Koi aur naa aata tha sapno mein,
Bas tera hi ek Sapna tha,
Tut gaya sapna mera,
Chut gaya sathi koi apna,
Ab kya likhu agey,
Mein doob gaya sahil pe tha.
- Kuwar Dheeraj Srivastava